Kisi Parinde Ne UDne Ka Man Banaya Hai

kisi parinde ne uDne ka man banaya hai

wo koi aur nahin mera hi to saya hai

zamin ki muTThi mein jaise ho aasman koi

ghazab ka reshmi ehsas koi laya hai

gulon mein shoKH gulabi tumhin ne rang bhare

chale bhi aao ke gulshan ne ab bulaya hai

ye mera ganw har ek rose yun damakne laga

ke jugnuon ne yahan aashiyan banaya hai

nae se KHwab chura lun hasin lamhon se

yun shabnami si kisi raat ne sulaya hai

bhara bhara sa hi rahta hai ye mera man ab

mizaj waqt ne tujh se ye KHub paya hai

milo kabhi bhi jo fursat mein to ye puchhenge

yun mere chand ko mujh se hi kyun churaya hai

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Parinde Ne UDne Ka Man Banaya Hai In English By Famous Poet Aradhana Prasad. Kisi Parinde Ne UDne Ka Man Banaya Hai is written by Aradhana Prasad. Read famous Poem Kisi Parinde Ne UDne Ka Man Banaya Hai for youth and Student by Aradhana Prasad. Free Download Kisi Parinde Ne UDne Ka Man Banaya Hai in PDF.