Tere Bazuon Ka Sahaara To Le Lun Magar Un Mein Bhi Rach Gai Hai Thakan

tere bazuon ka sahaara to le lun magar un mein bhi rach gai hai thakan

main sahra se bach kar chaman mein to aaun pa sahra se kuchh kam nahin ye chaman

meri zist ki rah tarik thi chand ban kar tum aae to raushan hui

ye rah aaj phir tira-o-tar hai ghaaliban chand ko lag gaya hai gahan

har ek samt nagin ki surat lapakti hui tirgi se hirasan na ho

ajab kya ki lau de uThe mere lams-e-farozan se tera sulagta badan

ye ashkon se bhigi hui muskurahaT murawwat ka eajaz hai warna

ghamon ki hawaon mein uDta hua dekh kar aa rahe hain koi pairahan

firaq-e-lab-o-zulf par munhasir kam hi pai hai ahl-e-wafa ki taDap

tum aaghosh ke tang halqe mein ho phir bhi har lamha afzun hai dil ki jalan

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Bazuon Ka Sahaara To Le Lun Magar Un Mein Bhi Rach Gai Hai Thakan In English By Famous Poet Arif Abdul Mateen. Tere Bazuon Ka Sahaara To Le Lun Magar Un Mein Bhi Rach Gai Hai Thakan is written by Arif Abdul Mateen. Read famous Poem Tere Bazuon Ka Sahaara To Le Lun Magar Un Mein Bhi Rach Gai Hai Thakan for youth and Student by Arif Abdul Mateen. Free Download Tere Bazuon Ka Sahaara To Le Lun Magar Un Mein Bhi Rach Gai Hai Thakan in PDF.