Wo Karwan-e-bahaaran Ki Be-dara Hoga

wo karwan-e-bahaaran ki be-dara hoga

sukut-e-ghunche ki manzil pe ruk gaya hoga

baja ki dil nahin zindan-e-be-KHudi ka asir

magar ye qaid-e-ana se kahan raha hoga

shua-e-mahr ki nazzargi ke shauq mein chand

falak ke dida-e-be-KHwab mein Dhala hoga

kuchh aisi sahl nahin fan ki munfarid taKHliq

KHuda bhi meri tarah pahron sochta hoga

main tere zehan mein rach bas gaya hun misl-e-KHayal

jidhar bhi jaega tu mera samna hoga

baha ke le bhi gaya meri har mata-e-sukun

jo ashk abhi tere ruKH par nahin baha hoga

ye aarzu hai ki wo din na dekhna ho nasib

mere amal se mera fikr jab KHafa hoga

khila raha hai jo harf-o-nawa ke lala-o-gul

wo mera nutq nahin mauja-e-saba hoga

(913) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Karwan-e-bahaaran Ki Be-dara Hoga In English By Famous Poet Arif Abdul Mateen. Wo Karwan-e-bahaaran Ki Be-dara Hoga is written by Arif Abdul Mateen. Read famous Poem Wo Karwan-e-bahaaran Ki Be-dara Hoga for youth and Student by Arif Abdul Mateen. Free Download Wo Karwan-e-bahaaran Ki Be-dara Hoga in PDF.