Alfaz Ke Patthar Kya Phenke Gae Pani Mein

alfaz ke patthar kya phenke gae pani mein

tufan sa barpa hai dariya-e-maani mein

KHushiyon ke fasane hi dohrae nahin jate

hain ranj ke chhinTe bhi ghar ghar ki kahani mein

jadu hi ghazab ka tha aks-e-ruKH-e-zeba ka

kyun aag na lag jati bahte hue pani mein

donon hi qabilon ne paiman-e-wafa bandhe

lauT aai wafa phir se har dushman-e-jaani mein

tarsil tamaddun ki hoti bhi to phir kaise

aKHlaq na hota gar tahzib ke bani mein

misre pe tere 'arif' misra jo hua chaspan

KHushbu si utar aai har ula-o-sani mein

(732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Alfaz Ke Patthar Kya Phenke Gae Pani Mein In English By Famous Poet Arif Ansari. Alfaz Ke Patthar Kya Phenke Gae Pani Mein is written by Arif Ansari. Read famous Poem Alfaz Ke Patthar Kya Phenke Gae Pani Mein for youth and Student by Arif Ansari. Free Download Alfaz Ke Patthar Kya Phenke Gae Pani Mein in PDF.