Apni Takmil Kar Raha Hun Main

apni takmil kar raha hun main

us gali mein bikhar raha hun main

jitna jitna jhuka raha hun sar

utna utna ubhar raha hun main

ek sahifa hun aasmanon ka

aur zamin par utar raha hun main

gardish-e-waqt rokni hai mujhe

is liye raqs kar raha hun main

qais ke bhi qadam nahin hain jahan

us jagah se guzar raha hun main

puchh lo mujh se aasman ke raaz

kuchh dinon tak udhar raha hun main

(1230) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Takmil Kar Raha Hun Main In English By Famous Poet Arif Imam. Apni Takmil Kar Raha Hun Main is written by Arif Imam. Read famous Poem Apni Takmil Kar Raha Hun Main for youth and Student by Arif Imam. Free Download Apni Takmil Kar Raha Hun Main in PDF.