Subu Mein Aks-e-ruKH-e-mahtab Dekhte Hain

subu mein aks-e-ruKH-e-mahtab dekhte hain

sharab pite nahin hum sharab dekhte hain

kisi bhi taur uThe par teri nigah uThe

jala ke ghar tujhe KHana-KHarab dekhte hain

use na dekh sakenge ai kash inhen dekhen

wo kaun hain jo ise be-naqab dekhte hain

hamare chehre pe likkha gaya fasana-e-waqt

hum aaina nahin takte kitab dekhte hain

wo hai hi laiq-e-sajda so hum ne sajda kiya

wo aur hain jo azab o sawab dekhte hain

hawas na jaan tujhe chhu ke dekhna ye hai

tujhe hi dekh rahe hain ki KHwab dekhte hain

(947) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subu Mein Aks-e-ruKH-e-mahtab Dekhte Hain In English By Famous Poet Arif Imam. Subu Mein Aks-e-ruKH-e-mahtab Dekhte Hain is written by Arif Imam. Read famous Poem Subu Mein Aks-e-ruKH-e-mahtab Dekhte Hain for youth and Student by Arif Imam. Free Download Subu Mein Aks-e-ruKH-e-mahtab Dekhte Hain in PDF.