Gila Tere Firaq Ka Jo Aaj-kal Nahin Raha

gila tere firaq ka jo aaj-kal nahin raha

to kyun bhala ye mustaqil azab Tal nahin raha

main kis se iltija karun kahan se ibtida karun

dua ahal rahi nahin gila badal nahin raha

main raston ki bhiD mein kahan ye aa gaya ki ab

koi bhi rasta teri gali nikal nahin raha

wo naqsh-e-pa ko dekh kar chala ho mujh ko DhunDne

isi guman ke ewaz main tez chal nahin raha

faqat yahi hai aarzu tu mil kahin to ru-ba-ru

ye dil tere firaq mein kahin sambhal nahin raha

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gila Tere Firaq Ka Jo Aaj-kal Nahin Raha In English By Famous Poet Arif Ishtiaque. Gila Tere Firaq Ka Jo Aaj-kal Nahin Raha is written by Arif Ishtiaque. Read famous Poem Gila Tere Firaq Ka Jo Aaj-kal Nahin Raha for youth and Student by Arif Ishtiaque. Free Download Gila Tere Firaq Ka Jo Aaj-kal Nahin Raha in PDF.