Umr-bhar Ka Hua Ziyan Jaanan

umr-bhar ka hua ziyan jaanan

hum yahan aur tum wahan jaanan

nind aai nahin kai din se

KHwab hone lage garan jaanan

kaun jaane teri meri uljhan

kaun samjhega ye zaban jaanan

baad tere yahi raha aalam

dhul hi dhul aur dhuan jaanan

tu bhi zahir nahin zamane pe

main bhi hota nahin ayan jaanan

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umr-bhar Ka Hua Ziyan Jaanan In English By Famous Poet Arif Ishtiaque. Umr-bhar Ka Hua Ziyan Jaanan is written by Arif Ishtiaque. Read famous Poem Umr-bhar Ka Hua Ziyan Jaanan for youth and Student by Arif Ishtiaque. Free Download Umr-bhar Ka Hua Ziyan Jaanan in PDF.