Andhe Adam Wajud Ke Girdab Se Nikal

andhe adam wajud ke girdab se nikal

ye zindagi bhi KHwab hai tu KHwab se nikal

suraj se apne bichhDi hui ek kiran hai tu

tera nasib jism ke barfab se nikal

tu miTTi pani aag hawa mein hai qaid kyun

hone ka de jawaz tab-o-tab se nikal

phulon mein chand taron mein suraj mein us ko dekh

in pattharon ke mimbar o mehrab se nikal

murjha na jae dekh kahin ruh ka gulab

fani jahan ki wadi-e-shadab se nikal

ban ke jazira ubhrega kirdar KHud tera

KHush-rang KHwahishon ke tu sailab se nikal

kahti hain mujh se soch samundar ki wusaten

'arif' tu apni zat ke talab se nikal

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Andhe Adam Wajud Ke Girdab Se Nikal In English By Famous Poet Arif Shafiq. Andhe Adam Wajud Ke Girdab Se Nikal is written by Arif Shafiq. Read famous Poem Andhe Adam Wajud Ke Girdab Se Nikal for youth and Student by Arif Shafiq. Free Download Andhe Adam Wajud Ke Girdab Se Nikal in PDF.