Bhul Gaya KHushki Mein Rawani

bhul gaya KHushki mein rawani

dariya mein tha kitna pani

gunj rahi hai sannaTe mein

ek sada jaani pahchani

sardi garmi barish patjhaD

sari ruten hain aani jaani

yaaden hath chhuDa leti hain

ho jati hai baat purani

donon jale bhi donon bujhe bhi

ek hue jab aag aur pani

phir dukh ji ko lag jata hai

sath nahin deti hairani

andhiyaron ki aadi duniya

mange suraj se tabani

ek lamha qadmon se lipaT kar

lauT gai mauj-e-imkani

(689) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhul Gaya KHushki Mein Rawani In English By Famous Poet Arman Najmi. Bhul Gaya KHushki Mein Rawani is written by Arman Najmi. Read famous Poem Bhul Gaya KHushki Mein Rawani for youth and Student by Arman Najmi. Free Download Bhul Gaya KHushki Mein Rawani in PDF.