Bhaarat Ke Wir Sipahi

hum hain bahadur yodhdha anthak

desh ki simaon ke rakshak

jate hain shatru ke ghar tak

bhaaratwarsh ke sachche sewak

deti hai duniya ye gawahi

hum bhaarat ke wir sipahi

taD taD gole barsa kar

khaT khaT khaT khaT tank chala kar

hath golon ko kaam mein la kar

banduqon ki mar dikha kar

late hain shatru pe tabahi

hum bhaarat ke wir sipahi

gaen wiron ki gathaen

janm-bhumi ka qarz chukaen

wijay pataka jab lahraen

jai jaykar ka nad bajaen

wijay ki manzil ke sab rahi

hum bhaarat ke wir sipahi

dhoke ki har baat bhi jiten

dushman ki har ghat bhi jiten

sanjh bhi aur parbhat bhi jiten

din bhi jiten raat bhi jiten

kaisa ujala kaisi siyahi

hum bhaarat ke wir sipahi

bhay se main ghabra nahin sakta

koi samne aa nahin sakta

koi hamein bahka nahin sakta

dushman chhup kar ja nahin sakta

aisi hamari tez nigahi

hum bhaarat ke wir sipahi

dushman ke sar kaTe paDe hain

jahan aDe hain DaT ke aDe hain

jhanDe ranbhumi mein gaDe hain

desh prem mein jam ke laDe hain

hum ne desh se prit nibahi

hum bhaarat ke wir sipahi

(667) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhaarat Ke Wir Sipahi In English By Famous Poet Arsh Malsiyani. Bhaarat Ke Wir Sipahi is written by Arsh Malsiyani. Read famous Poem Bhaarat Ke Wir Sipahi for youth and Student by Arsh Malsiyani. Free Download Bhaarat Ke Wir Sipahi in PDF.