Ye Dekhen Raaz-e-dil Ab Kaun Karta Hai Ayan Pahle

ye dekhen raaz-e-dil ab kaun karta hai ayan pahle

nazar karti hai izhaar-e-mohabbat ya zaban pahle

agar ho dekhna maqsud barbaadi ka nazzara

jila kar dekhiye ek bar apna aashiyan pahle

pahunch kar manzil-e-hasti pe ye ehsas hota hai

ki guzre hain yahan se aur bhi kuchh karwan pahle

kai masum kaliyan jo abhi khilne na pai hun

masal dete hain apne hath se KHud baghban pahle

Thahar ai gardish-e-ayyam hum bhi sath chalte hain

uTha lene de faiz-e-sohbat-e-pir-e-mughan pahle

(668) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Dekhen Raaz-e-dil Ab Kaun Karta Hai Ayan Pahle In English By Famous Poet Arsh Sahbai. Ye Dekhen Raaz-e-dil Ab Kaun Karta Hai Ayan Pahle is written by Arsh Sahbai. Read famous Poem Ye Dekhen Raaz-e-dil Ab Kaun Karta Hai Ayan Pahle for youth and Student by Arsh Sahbai. Free Download Ye Dekhen Raaz-e-dil Ab Kaun Karta Hai Ayan Pahle in PDF.