But-parasti Ne Kiya Aashiq-e-yazdan Mujhko

but-parasti ne kiya aashiq-e-yazdan mujh ko

parda-e-kufr mein hasil hua iman mujh ko

ab dar-e-andazi-e-aghyar nahin chal sakti

KHub pahchante hain yar ke darban mujh ko

KHal-e-ruKH KHizr-e-rah-e-kufr na hota jo tera

dam mein la hi chuke the ye musalman mujh ko

jis mein kuchh hoti hai ummid-e-visal-e-masuq

itni khalti nahin wo gardish-e-dauran mujh ko

ye na malum tha is rang se aaegi bahaar

tauba-e-mai ne kiya saKHt pasheman mujh ko

ishq ne mansab-e-ushshaq jo taqsim kiye

bagh bulbul ko diya kucha-e-jaanan mujh ko

dil-jala main hun wo aashiq ki shab-e-hijr 'qalaq'

shama bhi rone lage dekh ke giryan mujh ko

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

But-parasti Ne Kiya Aashiq-e-yazdan Mujhko In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. But-parasti Ne Kiya Aashiq-e-yazdan Mujhko is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem But-parasti Ne Kiya Aashiq-e-yazdan Mujhko for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download But-parasti Ne Kiya Aashiq-e-yazdan Mujhko in PDF.