Dora Nahin Hai Surme Ka Chashm-e-siyah Mein

Dora nahin hai surme ka chashm-e-siyah mein

bana paDa hai yar ke pa-e-nigah mein

har-dam jo main khaTakta hun un ki nigah mein

manind-e-KHar uThte hain aghyar rah mein

ghar us ke dil mein kar ke gai muft apni jaan

kashti hamari Dub gai aa ke thah mein

har-dam wo silk-e-gauhar-e-viran hun ghurta

moti piro raha hun main tar-e-nigah mein

milta nahin hai manzil-e-maqsad ka rahbar

rahzan hi se ho kash mulaqat rah mein

aane ka un ke koi muqarrar nahin hai din

aa nikle ek bar kahin sal o mah mein

chhina gali mein apne hasinon ne naqd-e-dil

luTa hai rahzanon ne musafir ko rah mein

karti hai qatl banki ada us ki KHalq ko

paTTha laga hai tegh ka teri kulah mein

laDte hi us se aankh fana the habab-war

bahr-e-qaza ka ghaT hai tegh-e-nigah mein

dil aa gaya zaqan pe teri yak-ba-yak mera

girta hai koi dida-o-danista chah mein

KHush-chashm tu wo hai ki ghazalan-e-hind-o-chi

aage tere samate nahin hain nigah mein

hai shor aamad-amad qatil jo dair se

hangama jaan-nisaron ka hai qatl-gah mein

kya tum ko KHat-e-zist hai itna to puchhta

hoti agar KHizr se mulaqat rah mein

ai sarw-e-qad gaya hun pai-e-sair-e-bagh jab

lipTa hun shajar se tere ishtibah mein

KHurshid-o-mah ki bhi jhapakti hai aksar aankh

zarron ki wo chamak hai teri gard-e-rah mein

aana hai o shikar-e-fagan gar tujhe to aa

ummid-war said hain naKHchir-gah mein

sindur us ki mang mein deta hai yun bahaar

jaise dhanak nikalti hai abr-e-siyah mein

ghaflat ye hai kisi ko nahin qabr ka KHayal

koi hai fikr-e-nan mein koi fikr-e-jah mein

kahte hain dekhte hain mubassir agar use

ye jins-e-be-baha hai hamare nigah mein

kya dun main us ke chehra-e-pur-nur se misal

dhabba laga hua hai baDa ru-e-mah mein

tirchhi nazar se us ne jo dekha yaqin hua

bal paD gaya hai yar ki tegh-e-nigah mein

aghyar munh chhupaenge hum se kahan talak

hogi kabhi to hum se mulaqat rah mein

fariyaad ras ke pahunchi na fariyaad kan tak

arman rah gaya ye dil-e-dad-KHwah mein

manzil hai apni apni 'qalaq' apni apni gor

koi nahin sharik kisi ke gunah mein

(1042) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dora Nahin Hai Surme Ka Chashm-e-siyah Mein In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Dora Nahin Hai Surme Ka Chashm-e-siyah Mein is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Dora Nahin Hai Surme Ka Chashm-e-siyah Mein for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Dora Nahin Hai Surme Ka Chashm-e-siyah Mein in PDF.