Ishq Mein Tere Jaan-e-zar Haif Hai Muft Mein Chali

ishq mein tere jaan-e-zar haif hai muft mein chali

tu ne par o sitam-shiar ab bhi meri KHabar na li

koi bala phir aaegi muft mein jaan jaegi

pech mein hum ko laegi zulf-e-siyah baDh chali

aate hi fasl-e-dil-pazir bole qafas mein ham-safir

jis mein hue the hum asir lo wahi phir hawa chali

ai gul-e-gulshan-e-wafa be-tire nind aae kya

bistar-e-KHar se siwa mujh ko hai farsh-e-maKHmali

KHwahish-e-justaju-e-yar had se bhi kuchh thi be-shumar

baad-e-fana mera ghubar DhunDh phira gali gali

danish-o-taqat-o-basar baDh gae sare ham-safar

zad-e-safar ki fikr kar lag rahi hai chala-chali

lao pyala-e-sharab ghir ke phir aaya hai sahab

ab nahin mere dil ko tab baad-e-bahaar phir chali

ai mah-e-asman-jah tujh sa nahin hai kaj-kulah

le ke falak charagh-e-mah DhunDh phira gali gali

mu-e-safed aa gaya dhabba KHizab ka laga

fasl-e-shaba-e-be-wafa dagh-e-firaq de chali

kabk ka dil hua figar mor ne jaan ki nisar

tegh-e-KHiram-e-naz-e-yar chaal nai nai chali

bhul ke koi dosto chahe na un hasinon ko

ab ye DhinDhora pher do lucknow mein gali gali

go thi ek aag mushtail ji tha par aisa muzmahil

sham-e-lahad bhi misl-e-dil gah bujhi kabhi jali

kahta hai shoKH-e-tund-KHu tab nahin dimagh ko

bais-e-dard-e-sar na ho bu-e-libas-e-sandali

sog mein apne zar ke yar-e-wafa-shiar ke

mehndi chhui na hath se missi na muddaton mali

hijr ki shab thi kya ghazab had ke sahe gham-o-tab

subh-e-visal aai ab jaan bachi bala Tali

koi nasim-e-subh se meri taraf se ye kahe

bagh-e-murad ki mere khil na saki koi kali

kya tere hath aa gaya kab ka tujhe ghubar tha

ku-e-sanam se kyun saba KHak meri uDa chali

dil hai bas ab alam se shaq yas se rang ruKH hai faq

dekhenge hum kab ai 'qalaq' aankhon se marqad-e-ali

(947) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Mein Tere Jaan-e-zar Haif Hai Muft Mein Chali In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Ishq Mein Tere Jaan-e-zar Haif Hai Muft Mein Chali is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Ishq Mein Tere Jaan-e-zar Haif Hai Muft Mein Chali for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Ishq Mein Tere Jaan-e-zar Haif Hai Muft Mein Chali in PDF.