Tasir Jazb Maston Ki Har Har Ghazal Mein Hai

tasir jazb maston ki har har ghazal mein hai

eajaz baD mein hai to karamat zaTal mein hai

dil mein jo apne yar hai to dil baghal mein hai

phir kyun hai gham ki sahab-e-KHana mahal mein hai

kitna ghurur hai tumhein husn-o-jamal par

go yaad-e-yar-e-husn tumhaare amal mein hai

hai yaad dil mein panja-e-rangin-e-yar ki

mehndi ke chor ka guzar apne mahal mein hai

bad-tar KHizan se hai hamein is bagh ki bahaar

boi nifaq phul mein hi zahar phal mein hai

lete hain bose un lab-o-gesu ke raat-din

mulk-e-yaman se taKHtan apne amal mein hai

munim ye kar-KHane hain duniya ke kar na fikr

koi hai jhonpaDe mein to koi mahal mein hai

jo ban gaya wo pech magar un ke hain wahi

rassi ka bal huzur ki zulfon ke bal mein hai

pahlu mein mujh hazin ke Tapakta hai raat-din

yarab ye dil hai ya koi phoDa baghal mein hai

itna laziz bagh-e-jahan mein samar hai kaun

jo zaiqa nihaal-e-tamanna ke phal mein hai

hasrat hai hum bhi kahte kisi din ye ai falak

ai dil mubarak aaj to dilbar baghal mein hai

dushnam de ke bose ye kah kah ke dete hain

inam galiyon ke ye nemul-badal mein hai

laya hai rang phir gul-e-dagh-e-junun mera

shayad nuzul-e-nayyar-e-azam hamal mein hai

mujh rind-e-baadah-kash ko ye jo KHauf-e-mohtasib

dil ki tarah chhupi hui botal baghal mein hai

bahr-e-sarashk dida-e-dil mein hai maujzan

dekho tilism-e-husn ki dariya kanwal mein hai

ai mai-kasho tumhaari bhi dawat karenge hum

urs-e-janab-e-pir-e-mughan aaj-kal mein hai

sanea ne wo dahan na banaya na kuchh likha

KHali jagah nawishta-e-roz-e-azal mein hai

KHat bhi diya to qasid-e-ghaflat-shiar ko

nama mera bandha hua bazu-e-shal mein hai

dast-e-junun ne phaD ke phenka idhar-udhar

daman abad mein hai to gareban azal mein hai

ashkon ke badle KHun ke qatre Tapakte hain

batti hamare zaKHm ki raushan kanwal mein hai

dil phuk raha hai garche hum aaghosh hai wo gul

pahlu mein mere KHuld hai dozaKH baghal mein hai

bimar-e-ishq kahte hain darushshifa use

aisi hi jo hasin farangi-mahal mein hai

likhna tha jo kuchh aap ko pahle hi likh diya

haal-e-abad bhi daftar-e-roz-e-azal mein hai

pahlu mein dil hamare hai zeb-e-kanar-e-yar

aaghosh mein hai dost to dushman baghal mein hai

wada kiya tha aaj so phir kal pe Tal gaya

aaKHir hamari maut isi aaj-kal mein hai

lapka paDa hai husn-parasti ka kis qadar

jab dekhiye 'qalaq' ko farangi-mahal mein hai

(1012) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tasir Jazb Maston Ki Har Har Ghazal Mein Hai In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Tasir Jazb Maston Ki Har Har Ghazal Mein Hai is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Tasir Jazb Maston Ki Har Har Ghazal Mein Hai for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Tasir Jazb Maston Ki Har Har Ghazal Mein Hai in PDF.