Waiz Ki Zid Se Rindon Ne Rasm-e-jadid Ki

waiz ki zid se rindon ne rasm-e-jadid ki

yani mah-e-siyam ki pahli ko id ki

marne ke baad bhi ye tamanna thi did ki

aankhen huin na band tumhaare shahid ki

phir jins-e-dil na apni kisi ne KHarid ki

sach hai ki qadr kuchh nahin mal-e-mazid ki

ye waqt-e-chashm-e-poshi-e-ahl-e-wafa nahin

jaan aankhon mein hai yar tere mahw-e-did ki

missi dahan-e-tang ki dekhi to shak hua

angushtari hai koi nagin-e-hadid ki

wo shoKH jang-ju jo hamare gale mila

matam muKHalifon ne muhibbon ne id ki

aalam hai chashm-e-shauq ka har ek zarre mein

barbaad KHak hai ye kisi mahw-e-did ki

kya be-nuqat sunai hain us tifl-e-shauq ne

qasid ne nama de ke talab jab rasid ki

kyun wo sawal-e-wasl ka dete nahin jawab

hajat hai un ke qufl-e-dahan ko kalid ki

ghusse se aag ho ke hue tar pasine mein

itr-e-bahaar husn ki apne kashid ki

kis rose main ne mushaf-e-ruKHsar mas kiya

jhuTi na qasmen khao kalam-e-majid ki

dekhe na pir-zal jahan ko uTha ke aankh

mardon mein aabru nahin kuchh zan-murid ki

be-shubah ai 'qalaq' sag-e-duniya hai wo bashar

jis ne ba-dil itaat-e-nafs-e-palid ki

(864) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waiz Ki Zid Se Rindon Ne Rasm-e-jadid Ki In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Waiz Ki Zid Se Rindon Ne Rasm-e-jadid Ki is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Waiz Ki Zid Se Rindon Ne Rasm-e-jadid Ki for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Waiz Ki Zid Se Rindon Ne Rasm-e-jadid Ki in PDF.