Ye Ji Mein Aata Hai Jal Jal Ke Har Zaman Naseh

ye ji mein aata hai jal jal ke har zaman naseh

ki aag le ke jala dun teri zaban naseh

na mana ishq-e-majazi se kar mujhe nadan

yahi hai baam-e-haqiqat ki nardban naseh

main tark-e-ishq-e-kamar yak-ba-yak karun kyunkar

samajh ke mujh ko nasihat karo miyan naseh

zalil hoga tu ek rose pand-e-beja se

tujhe KHarab karegi teri zaban naseh

KHuda ke waste bak bak ke mera maghz na kha

na tark hogi kabhi ulfat-e-butan naseh

baja-e-pand dilata hai husn par raghbat

hazar shukr ki paya mizaj-dan naseh

qubul itaat-e-pir-e-mughan badal karna

hamari tarah se hota agar jawan naseh

nasihat un ki kahani ki tarah sunta hun

main jaanta hun ki hai ek qissa-KHwan naseh

jahan hasin nazar aaya koi pise wahin hum

hamare sath phirega kahan kahan naseh

zaif ho ke samajhta nahin tajjub hai

karun shabab mein tark ulfat-e-butan naseh

karam kiya hai gham-e-ishq ne mere dil mein

main kis tarah na karun pas-e-mehman naseh

hum aap band kiya karte hain hazaron ko

hamare samne kholega kya zaban naseh

buton ka kalima paDhe tu abhi hamari tarah

kamal-e-ishq agar puKHta ho ayan naseh

main wo hun aashiq-e-diwana gar mujhe ki pand

ba-rang-e-jaib uDa dunga dhajjiyan naseh

kahin hamari tarah ye bhi phans gaya shayad

kuchh aaj-kal hai bahut hum pe mehrban naseh

'qalaq' na harf-e-nasihat zaban pe lae wo phir

jo sun le meri mohabbat ki dastan naseh

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ji Mein Aata Hai Jal Jal Ke Har Zaman Naseh In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Ye Ji Mein Aata Hai Jal Jal Ke Har Zaman Naseh is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Ye Ji Mein Aata Hai Jal Jal Ke Har Zaman Naseh for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Ye Ji Mein Aata Hai Jal Jal Ke Har Zaman Naseh in PDF.