Hum Zist Ki Maujon Se Kinara Nahin Karte

hum zist ki maujon se kinara nahin karte

sahil se samundar ka nazara nahin karte

har shoaba-e-hasti hai talabgar-e-tawazun

resham se kabhi TaT sanwara nahin karte

dariya ko samajhne ki tamanna hai to phir kyun

dariya ke kinare se kinara nahin karte

dastak se ilaqa raha kab shish-mahal ko

KHwabida samaat ko pukara nahin karte

hum fart-e-masarrat mein kahin jaan se nahin jaen

is KHauf se wo zikr hamara nahin karte

hum un ke taghaful ko samajhte to hain lekin

duniya bhi samajh le ye gawara nahin karte

zulmat se hi kuchh nur nichoDo ki hum 'arshad'

mange ke ujale pe guzara nahin karte

(1437) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Zist Ki Maujon Se Kinara Nahin Karte In English By Famous Poet Arshad Kamal. Hum Zist Ki Maujon Se Kinara Nahin Karte is written by Arshad Kamal. Read famous Poem Hum Zist Ki Maujon Se Kinara Nahin Karte for youth and Student by Arshad Kamal. Free Download Hum Zist Ki Maujon Se Kinara Nahin Karte in PDF.