Kabhi Jo Uski Tamanna Zara Biphar Jae

kabhi jo us ki tamanna zara biphar jae

nasha phir us ki ana ka utar utar jae

charagh-e-shab mein to jalne ka hausla hi nahin

wo chahta hai ki tohmat hawa ke sar jae

zamin pe ghalba-e-shaitan falak bara-e-malak

bashar gharib pareshan ki wo kidhar jae

meri hayat ka suraj hai su-e-gharb magar

muhaal hai ki mera zauq-o-shauq mar jae

charagh-e-zehn jo raushan nahin to kuchh bhi nahin

wo tare toD ke lae ki chand par jae

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Jo Uski Tamanna Zara Biphar Jae In English By Famous Poet Arshad Kamal. Kabhi Jo Uski Tamanna Zara Biphar Jae is written by Arshad Kamal. Read famous Poem Kabhi Jo Uski Tamanna Zara Biphar Jae for youth and Student by Arshad Kamal. Free Download Kabhi Jo Uski Tamanna Zara Biphar Jae in PDF.