Lahu Ke Sath Tabiat Mein Sansanati Phire

lahu ke sath tabiat mein sansanati phire

ye sham sham-e-ghazal si hai gungunati phire

dhaDak raha hai jo pahlu mein ye charagh bahut

bala se raat jo aae to raat aati phire

jawan dinon ki hawa hai chale chale hi chale

mere wajud mein Thahre ki aati jati phire

ghurub-e-sham to din bhar ke fasle par hai

kiran tulu ki utri hai jagmagati phire

gham-e-hayat nasha hai hayat lambi kasak

lahu mein Thokaren khae ki Dagmagati phire

lo tai hua ki KHala mein hai mustaqar apna

zamin jaise pukare jahan bulati phire

(700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahu Ke Sath Tabiat Mein Sansanati Phire In English By Famous Poet Arshad Malik. Lahu Ke Sath Tabiat Mein Sansanati Phire is written by Arshad Malik. Read famous Poem Lahu Ke Sath Tabiat Mein Sansanati Phire for youth and Student by Arshad Malik. Free Download Lahu Ke Sath Tabiat Mein Sansanati Phire in PDF.