Fazaen Kaif-e-bahaaran Se Jab Mahakti Hain

fazaen kaif-e-bahaaran se jab mahakti hain

to dil mein choTen teri yaad ki kasakti hain

shafaq ke rang bhi un ka jawab la na sake

kisi ke chehre pe jo surKHiyan damakti hain

jinhen tumhaara tabassum mila hai wo nazren

faza mein nur ke naghme bikher sakti hain

kabhi kabhi to sitaron ke narm sae mein

kisi ke jism ki parchhaiyan chamakti hain

qadam qadam pe bichhati hai jal tira-shabi

nafas nafas pe nai bijliyan chamakti hain

jahan wo aankhen mera intizar karti thin

ab un darichon se mayusiyan Tapakti hain

sukut-e-shab mein tere intizar ka aalam

ki jaise dur kahin paelen khanakti hain

unhin ka nam kahin masti-e-bahaar na ho

kali ke sine mein jo nikhaten dhaDakti hain

ho intizar kisi ka magar meri nazren

na jaane kyun teri aamad ki rah takti hain

jab un ke aane ki ummid hi nahin 'arshad'

to phir nigahen KHalaon mein kyun bhaTakti hain

(708) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fazaen Kaif-e-bahaaran Se Jab Mahakti Hain In English By Famous Poet Arshad Siddiqui. Fazaen Kaif-e-bahaaran Se Jab Mahakti Hain is written by Arshad Siddiqui. Read famous Poem Fazaen Kaif-e-bahaaran Se Jab Mahakti Hain for youth and Student by Arshad Siddiqui. Free Download Fazaen Kaif-e-bahaaran Se Jab Mahakti Hain in PDF.