Qalb-o-nazar Ka Sukun Aur Kahan Dosto

qalb-o-nazar ka sukun aur kahan dosto

ku-e-butan dosto ku-e-butan dosto

mera hi dil hai ki main phirta hun yun KHanda-zan

kam nahin pardes mein dil ka ziyan dosto

jin mein KHulus-e-wafa aur na shuur-e-sitam

mujh ko biThaya hai ye la ke kahan dosto

chaar ghaDi raat hai aao ki hans bol len

jaane sahar tak ho phir kaun kahan dosto

rabt-e-marasim ke baad tark-e-talluq ghalat

aag bujhane se bhi hoga dhuan dosto

lakh chhupo saya-e-gesu-e-shab-rang mein

mil nahin sakti magar gham se aman dosto

shair-e-'arshad' hun main shaer-e-fitrat hun main

miT nahin sakta mera nam-o-nishan dosto

(730) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qalb-o-nazar Ka Sukun Aur Kahan Dosto In English By Famous Poet Arshad Siddiqui. Qalb-o-nazar Ka Sukun Aur Kahan Dosto is written by Arshad Siddiqui. Read famous Poem Qalb-o-nazar Ka Sukun Aur Kahan Dosto for youth and Student by Arshad Siddiqui. Free Download Qalb-o-nazar Ka Sukun Aur Kahan Dosto in PDF.