MuKhaalifon Ke Jilau Mein Wo Aaj Shamil Tha

muKHalifon ke jilau mein wo aaj shamil tha

wafa-parast ruton ka jo shaKHs hasil tha

wo meri zat ki pahchan bhi taaruf bhi

mere lahu mein ba-rang-e-hayat shamil tha

hasin raat thi hathon mein hath the hum the

kanar-e-ab KHamoshi thi mah-e-kaamil tha

taghayyuraat-e-zamana bhi kya ajab shai hain

jo jaan-nisar tha pahle wo aaj qatil tha

mujhe bhi faqr ki daulat pe faKHr tha yaro

use bhi lal-o-guhar ka ghurur hasil tha

bahut hi sada tabiat tha un dinon 'arshad'

ki jab wo mehr-o-KHulus-o-wafa ka qail tha

(645) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MuKhaalifon Ke Jilau Mein Wo Aaj Shamil Tha In English By Famous Poet Arshadul Qadri. MuKhaalifon Ke Jilau Mein Wo Aaj Shamil Tha is written by Arshadul Qadri. Read famous Poem MuKhaalifon Ke Jilau Mein Wo Aaj Shamil Tha for youth and Student by Arshadul Qadri. Free Download MuKhaalifon Ke Jilau Mein Wo Aaj Shamil Tha in PDF.