Aaghaz-e-ashiqi Ka Allah Re Zamana

aaghaz-e-ashiqi ka allah re zamana

har baat bahki bahki har gam walihana

wo sajda-ha-e-paiham wo un ka aastana

ai kash lauT aae guzra hua zamana

kaunain ki tawajjoh us be-ruKHi pe sadqe

honTon pe hai tabassum tewar muKHalifana

mujh ko na thi gawara apni shikast lekin

kya kahiye us nazar ka andaz-e-fatehana

sau bar dekh kar bhi yun muztarib hain nazren

jaise guzar gaya ho dekhe hue zamana

mahsus ho chali hain tanhaiyan unhen bhi

rakkhe KHuda salamat pindar-e-ashiqana

kya iKHtiyar apna majburiyon pe dil ki

mana ki mashwara hai naseh ka muKHlisana

phir chand aur sitare phaila rahe hain zulmat

ek teri yaad se tha raushan siyah-KHana

rabt-e-nigah-o-dil ko muddat hui hai 'arshi'

un ka mera taaruf ab tak hai ghaebana

(1109) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaghaz-e-ashiqi Ka Allah Re Zamana In English By Famous Poet Arshi Bhopali. Aaghaz-e-ashiqi Ka Allah Re Zamana is written by Arshi Bhopali. Read famous Poem Aaghaz-e-ashiqi Ka Allah Re Zamana for youth and Student by Arshi Bhopali. Free Download Aaghaz-e-ashiqi Ka Allah Re Zamana in PDF.