Nigah-e-shauq Se Kab Tak Muqabla Karte

nigah-e-shauq se kab tak muqabla karte

wo iltifat na karte to aur kya karte

ye rasm-e-tark-e-mohabbat bhi hum ada karte

tere baghair magar zindagi ko kya karte

ghurur-e-husn ko manus-e-iltija karte

wo hum nahin ki jo KHud-dariyan fana karte

kisi ki yaad ne taDpa diya phir aa ke hamein

hui thi der na kuchh dil se mashwara karte

ye puchho husn ko ilzam dene walon se

jo wo sitam bhi na karta to aap kya karte

sitam-shiar azal se hai husn ki fitrat

jo main wafa bhi na karta to wo jafa karte

hamein to apni tabahi ki dad bhi na mili

teri nawazish-e-beja ka kya gila karte

nigah-e-naz ki masumiyat are tauba

jo hum fareb na khate to aur kya karte

nigah-e-lutf ki taskin ka shukriya lekin

mata-e-dard ko kis dil se hum juda karte

(1433) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-shauq Se Kab Tak Muqabla Karte In English By Famous Poet Arshi Bhopali. Nigah-e-shauq Se Kab Tak Muqabla Karte is written by Arshi Bhopali. Read famous Poem Nigah-e-shauq Se Kab Tak Muqabla Karte for youth and Student by Arshi Bhopali. Free Download Nigah-e-shauq Se Kab Tak Muqabla Karte in PDF.