Hamari Mahfilon Mein Be-hijab Aane Se Kya Hoga

hamari mahfilon mein be-hijab aane se kya hoga

nahin jab hosh mein hum jalwa farmane se kya hoga

junun ke sath thoDi si faza-e-la-makan bhi de

meri wahshat ko is duniya ke virane se kya hoga

hai mar jaana kalid-e-fath samjhaya tha rindon ne

magar naseh ye kahta hai ki mar jaane se kya hoga

zahe qismat agar hazrat KHud apna jaeza bhi len

hamari zindagi par tir barsane se kya hoga

agar hamdard bante ho to zanjiren zara kholo

meri pa-bastagi par yunhi gham khane se kya hoga

dar-e-pir-e-mughan chhoDen ye hum se ho nahin sakta

koi waiz se kah do tere bahkane se kya hoga

jise dekho wo hai sarmast-e-sahba-e-KHirad yaksar

KHudawanda! yahan ek tere diwane se kya hoga

nahin qalb o jigar mein KHun ka qatra koi baqi

azizo ab hamare hosh mein aane se kya hoga

dukhon ko kho nahin sakte agar ahl-e-KHirad 'arshi'

to KHali sina-e-aflak barmane se kya hoga

(619) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamari Mahfilon Mein Be-hijab Aane Se Kya Hoga In English By Famous Poet Arshi Rampuri. Hamari Mahfilon Mein Be-hijab Aane Se Kya Hoga is written by Arshi Rampuri. Read famous Poem Hamari Mahfilon Mein Be-hijab Aane Se Kya Hoga for youth and Student by Arshi Rampuri. Free Download Hamari Mahfilon Mein Be-hijab Aane Se Kya Hoga in PDF.