Dil Ki Bazi Laga Ke Dekh Liya

dil ki bazi laga ke dekh liya

zindagi ko luTa ke dekh liya

bewafai ka dard kaisa hai

un ko apna bana ke dekh liya

rah aasan nahin hai ulfat ki

panw hum ne baDha ke dekh liya

hai kasak kitni dil lagane mein

dil ki duniya basa ke dekh liya

kya haqiqat hai zindagi ki 'arun'

naz un ke uTha ke dekh liya

(640) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Bazi Laga Ke Dekh Liya In English By Famous Poet Arun Kumar Arya. Dil Ki Bazi Laga Ke Dekh Liya is written by Arun Kumar Arya. Read famous Poem Dil Ki Bazi Laga Ke Dekh Liya for youth and Student by Arun Kumar Arya. Free Download Dil Ki Bazi Laga Ke Dekh Liya in PDF.