Aankh Se Dil Mein Aane Wala

aankh se dil mein aane wala

dil se nahin ab jaane wala

ghar ko phunk ke jaane wala

phir ke nahin hai aane wala

dost to hai nadan hai lekin

be-samjhe samjhane wala

aansu ponchh ke hans deta hai

aag mein aag lagane wala

hai jo koi to dhyan usi ka

aane wala jaane wala

husn ki basti mein hai yaro

koi taras bhi khane wala

Dal raha hai kaam mein mushkil

mushkil mein kaam aane wala

di thi tasalli ye kis dil se

chup na hua chillane wala

KHwab ke parde mein aata hai

sota pa ke jagane wala

ek din parda KHud ulTega

chhup-chhup ke tarsane wala

'arzu' in ke aage hai chup kyun

tum sa baaten banane wala

(702) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Se Dil Mein Aane Wala In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Aankh Se Dil Mein Aane Wala is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Aankh Se Dil Mein Aane Wala for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Aankh Se Dil Mein Aane Wala in PDF.