Ai Mere ZaKHm-e-dil-nawaz Gham Ko KHushi Banae Ja

ai mere zaKHm-e-dil-nawaz gham ko KHushi banae ja

aaankhon se KHun bahae ja honTon se muskurae ja

jaane se pahle bewafa shab ko sahar banae ja

dil ko bujha ke kya chala shama ko bhi bujhae ja

sans ka tar TuT jae TuTe na tar aah ka

ek hi lai pe gae ja ek hi dhun bajae ja

hukm-e-talab ke muntazir shauq ki aabru na kho

sar ko qadam bana ke chal aaankhon se be-bulae ja

le wo dawa-e-talKH hai jis ka asar hai KHush-gawar

pine mein munh banae ja dil mein maze uThae ja

joshish-e-chashm-e-ashk-bar muft na rakh karam ka bar

meri lagi to bujh chuki apni lagi bujhae ja

manzil-e-be-KHudi-e-shauq hadd-e-nazar se dur hai

pichhe palaT ke bhi na dekh aage qadam baDhae ja

ek hama-tan hai pa-e-naz ek hama-tan sar-e-niyaz

ye to chalan jahan ka hai jitna de dabae ja

zarf-e-sharab tere pas zuruf-e-surur mere pas

dil to nahin ba-qadr-e-jam dekh na munh pilae ja

donon hain naz-e-dilbari zid mein hai jin ki aur lutf

ek taraf lagae ja ek taraf bujhae ja

chand mein gum chakor KHud chand kahin chhupa hua

apni talash KHatm kar us ka pata lagae ja

'arzu' us se kah do saf gham ka asar hai der-pa

jald hansi na aaegi aur abhi gudgudae ja

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Mere ZaKHm-e-dil-nawaz Gham Ko KHushi Banae Ja In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Ai Mere ZaKHm-e-dil-nawaz Gham Ko KHushi Banae Ja is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Ai Mere ZaKHm-e-dil-nawaz Gham Ko KHushi Banae Ja for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Ai Mere ZaKHm-e-dil-nawaz Gham Ko KHushi Banae Ja in PDF.