Dil De Raha Tha Jo Use Be-dil Bana Diya

dil de raha tha jo use be-dil bana diya

aasan kaam aap ne mushkil bana diya

har sans ek shoala hai har shoala ek barq

kya tu ne mujh ko ai tapish-e-dil bana diya

is husn-e-zan pe ham-safaron ke hun pa-ba-gil

mujh be-KHabar ko rahbar-e-manzil bana diya

andha hai shauq phir nazar imkan par ho kyun

kaam apna dil ne aap hi mushkil bana diya

dauDa lahu ragon mein bandhi zindagi ki aas

ye bhi bura nahin hai jo bismil bana diya

gharq o ubur donon ka hasil hai KHatm-e-kar

majburiyon ne mauj ko sahil bana diya

us shan-e-ajizi ke fida jis ne 'arzu'

har naz har ghurur ke qabil bana diya

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil De Raha Tha Jo Use Be-dil Bana Diya In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Dil De Raha Tha Jo Use Be-dil Bana Diya is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Dil De Raha Tha Jo Use Be-dil Bana Diya for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Dil De Raha Tha Jo Use Be-dil Bana Diya in PDF.