Hain Des-bides Ek Guzar Aur Basar Mein

hain des-bides ek guzar aur basar mein

be-as ko kab chain mila hai kisi ghar mein

chup main ne lagai to hua us ka bhi charcha

jo bhed na khulta ho wo khul jata hai Dar mein

suraj ka ghamanD aur nahin tare ke barabar

aisi hi to baaten hain is andher-nagar mein

wo Tal nahin sakti jo pahunchne ki ghaDi hai

chalta rahe galiyon mein ki baiTha rahe ghar mein

huk uTThi idhar ji mein udhar kuk uThi koyal

puchhe koi to kaun idhar mein na udhar mein

ai 'arzu' aankhon hi mein kaT jate hain din-raat

koi bhi ghaDi chain ki hai aaTh-pahr mein

(608) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Des-bides Ek Guzar Aur Basar Mein In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Hain Des-bides Ek Guzar Aur Basar Mein is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Hain Des-bides Ek Guzar Aur Basar Mein for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Hain Des-bides Ek Guzar Aur Basar Mein in PDF.