Karam Un Ka KHud Hai BaDh Kar Meri Hadd-e-iltija Se

karam un ka KHud hai baDh kar meri hadd-e-iltija se

mujhe su-e-zan nahin hai ki dua karun KHuda se

dil-e-mutmain ki wusat koi kam hai ma-siwa se

mujhe kahe ki kami hai jo talab karun KHuda se

hui KHatm gham ki aandhi wahi dil ki lau hai ab bhi

yahi shoala tha wo shoala ki laDa kiya hawa se

kahe kaun use patinga jo hai shoale par dhuan sa

tujhe le uDe hain kitna tere par zara zara se

jo hai sab ka dene wala main usi ko chahta hun

meri bhik wo nahin hai ki mile kisi gada se

ye hai qasr-e-zindagani ki habab-e-bahr-e-fani

abhi ban gaya hawa se abhi miT gaya hawa se

ye KHayal KHud hai aisa jo KHushi bana de gham ko

ki hai ibtida KHushi ki mere gham ki intiha se

mera dil raza pe raazi karam us ka josh par hai

jo ab aa gai zaban tak to asar gaya dua se

meri lakh minnaton par teri ek haya hai bhaari

koi parda hai wo parda ki hile-Dule hawa se

tere pak-baz-e-ulfat nahin haarne ke himmat

jo marenge Dub kar bhi to marenge rah ke pyase

kisi dil ki aas yun bhi kabhi 'arzu' na TuTe

ye kahe bani hai dam par wo kahe meri bala se

(800) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karam Un Ka KHud Hai BaDh Kar Meri Hadd-e-iltija Se In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Karam Un Ka KHud Hai BaDh Kar Meri Hadd-e-iltija Se is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Karam Un Ka KHud Hai BaDh Kar Meri Hadd-e-iltija Se for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Karam Un Ka KHud Hai BaDh Kar Meri Hadd-e-iltija Se in PDF.