Kis Mast Ada Se Aankh LaDi Matwala Bana Lahra Ke Gira

kis mast ada se aankh laDi matwala bana lahra ke gira

aage to hain rahen aur kaThin dil pahle hi Thokar kha ke gira

aage jo baDha tharrae qadam wo hans jo diye sharma ke gira

behosh nahin hoshyar tha main uThne ka sahaara pa ke gira

dil shauq ke josh mein dauD chala aur josh to hota hai andha

dar band paDa tha qismat ka Takkar jo lagi teyora ke gira

jitni bhi dil ki zarurat thi bas utni hi himmat-o-taqat thi

raste ki khakheDen jhel gaya pas aate hi main chakra ke gira

kya ishq ki manzil bhi hai kaDi bandh bandh kar himmat TuT gai

jo ek qadam chal kar sambhla wo do qadam aage ja ke gira

sulgi hui hai gham ki bhaTTi dil kyun na pighal ke bane pani

jo qatra aansu ho ke baha lahra ke chala teyora ke gira

wo nala falak se Takraya wo 'arzu' ek tara TuTa

dushman ki taraf jo lapka tha shoala wo mujhi par aa ke gira

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Mast Ada Se Aankh LaDi Matwala Bana Lahra Ke Gira In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Kis Mast Ada Se Aankh LaDi Matwala Bana Lahra Ke Gira is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Kis Mast Ada Se Aankh LaDi Matwala Bana Lahra Ke Gira for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Kis Mast Ada Se Aankh LaDi Matwala Bana Lahra Ke Gira in PDF.