Mujhko Dil Qismat Ne Usko Husn-e-ghaarat-gar Diya

mujh ko dil qismat ne us ko husn-e-ghaarat-gar diya

chur kar de kyun na wo shisha jise patthar diya

us se talib hun diyat ka aap se matlab nahin

jis ne gardan ek ko di ek ko KHanjar diya

tha mukafat-e-amal ahbab ka husn-e-amal

ye bhi aisa qarz tha jo aur se le kar diya

ab na hai fikr-e-hifazat aur na ziq-e-raf-e-kar

dene wale ne diya aur meri KHwahish bhar diya

girya-e-be-iKHtiyar-e-gham bhi tha fitri ilaj

jis ne thoDe josh ko har martaba kam kar diya

jis mein kaif-e-gham nahin baz aae aise dil se hum

ye bhi duniya hai koi mai to na di saghar diya

'arzu' ek roz Dha deta mujhe mera hi zor

ye bhi us ki karsazi dil mein jis ne Dar diya

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Dil Qismat Ne Usko Husn-e-ghaarat-gar Diya In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Mujhko Dil Qismat Ne Usko Husn-e-ghaarat-gar Diya is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Mujhko Dil Qismat Ne Usko Husn-e-ghaarat-gar Diya for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Mujhko Dil Qismat Ne Usko Husn-e-ghaarat-gar Diya in PDF.