Ye Dastan-e-dil Hai Kya Ho Ada Zaban Se

ye dastan-e-dil hai kya ho ada zaban se

aansu Tapak rahe hain lafzen milen kahan se

hai rabt do dilon ko be-rabti-e-bayan se

kuchh wo kahen nazar se kuchh hum kahen zaban se

ye rote rote hansna tartib-e-zikr-e-gham hai

aaya hun ibtida par chheDa tha darmiyan se

hasil to zindagi ka thi zindagi yahin ki

ab main hun ek janaza uThwa do aastan se

is tul-e-KHamushi ka zor-e-bayan bhi dekha

thi baat mere dil ki nikli teri zaban se

jab husn KHud-numa hai aur ishq raKHna-afgan

is kashmakash mein parda niklega darmiyan se

maidan-e-imtihan mein ai be-gharaz mohabbat

dil ki zamin tu ne Takra di aasman se

us raazdar-e-gham ki haalat na puchh jis ko

kahna to hai bahut kuchh mahrum hai zaban se

ai jazb-e-shauq-e-manzil mamnun-e-ghair kyun hon

KHud rasta badal kar bichhDa hun karwan se

har gam par ThiThakna har bar muD ke takna

o muskurane wale kya le chala yahan se

zahir fareb-e-wada phir e'tibar itna

wo likh gaya dilon par jo kah diya zaban se

aaankhon se baghban ki shoale nikle rahe hain

tinke dabae munh mein nikla hun aashiyan se

dil ka sakun ganwa kar hon aarzu pasheman

kuchh le ke rakh na chhoDa kyun jins-e-raegan se

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Dastan-e-dil Hai Kya Ho Ada Zaban Se In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Ye Dastan-e-dil Hai Kya Ho Ada Zaban Se is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Ye Dastan-e-dil Hai Kya Ho Ada Zaban Se for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Ye Dastan-e-dil Hai Kya Ho Ada Zaban Se in PDF.