Abhi Zamin Ko Sauda Bahut Saron Ka Hai

abhi zamin ko sauda bahut saron ka hai

jamaw donon mahazon pe lashkaron ka hai

kisi KHayal kisi KHwab ke siwa kya hain

wo bastiyan ki jahan silsila gharon ka hai

ufuq pe jaane ye kya shai tulu hoti hai

saman ajib pur-asrar paikaron ka hai

ye shahr chhoD ke jaana bhi marka hoga

ajib rabt imarat se pattharon ka hai

wo ek phul jo bahta hai satah-e-dariya par

use KHabar hai ki kya dukh shanawaron ka hai

utar gaya hai wo dariya jo tha chaDhao par

bas ab jamaw kinaron pe pattharon ka hai

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Zamin Ko Sauda Bahut Saron Ka Hai In English By Famous Poet Asad Badayuni. Abhi Zamin Ko Sauda Bahut Saron Ka Hai is written by Asad Badayuni. Read famous Poem Abhi Zamin Ko Sauda Bahut Saron Ka Hai for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download Abhi Zamin Ko Sauda Bahut Saron Ka Hai in PDF.