Rasta Koi Safar Koi Masafat Koi

rasta koi safar koi masafat koi

phir KHarabi ki ata ho mujhe surat koi

sare dariya hain yahan mauj mein apni apni

mere sahra ko nahin in se shikayat koi

jam gai dhul mulaqat ke aainon par

mujh ko us ki na use meri zarurat koi

main ne duniya ko sada dil ke barabar samjha

kaam aai na buzurgon ki nasihat koi

surmai sham ke hamrah parindon ki qatar

dekhne walon ki aankhon ko bashaarat koi

bujhti aankhon ko kisi nur ke dariya ki talash

TuTti sans ko zanjir zarurat koi

tu ne har naKHl mein kuchh zauq-e-numu rakkha hai

ai KHuda mere panapne ki alamat koi

(1142) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rasta Koi Safar Koi Masafat Koi In English By Famous Poet Asad Badayuni. Rasta Koi Safar Koi Masafat Koi is written by Asad Badayuni. Read famous Poem Rasta Koi Safar Koi Masafat Koi for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download Rasta Koi Safar Koi Masafat Koi in PDF.