Jo Log Raaton Ko Jagte The

sitare jitne bhi aasman par

meri tamanna ke zau-fishan the

zamin ke andar utar gae hain

jo log raaton ko jagte the wo mar gae hain

wo phul wo titliyan ki jin se

bahaar ki dilkashi siwa thi

wo rizq-e-KHashak ban chuke the

tamam manzar tamam chehre jo dhire dhire sulag rahe the

so ab wo sab rakh ban chuke hain

main raftagan ki udas yaadon ke sae mein din guzarta hun

agarche KHwabon ka pairahan tar tar sa hai

pa main use kab utarta hun

meri sada ka jawab ab koi bhi na dega

ye jaanta hun magar musalsal kisi ko ab tak pukarta hun

ajib ye khel hai ki jis ko na jitta hun na haarta hun

meri kahani mein koi shai bhi nai nahin hai

ye nanhe munne hasin KHwabon se hai ibarat

meri kahani mein narm din KHush-gawar shamon

udas raaton ki ek rau hai

wajud mera kisi diye ki haqir lau hai

main yun to kahne ko aql o mantiq ke daur ka aadmi hun lekin

mera rawayya hai zindagi ko guzarne ka bahut purana

main sochta hun ki ek sadi qabl paida hota to Thik rahta

ki mujh se koi bhi kuchh na kahta

jo KHak ka rizq ho chuke hain

main un zamanon ka nauhagar hun

visal o hijran ki dastanon ka nauhagar hun

jinhen ye duniya hazar-ha bar sun chuki hai

(928) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Log Raaton Ko Jagte The In English By Famous Poet Asad Badayuni. Jo Log Raaton Ko Jagte The is written by Asad Badayuni. Read famous Poem Jo Log Raaton Ko Jagte The for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download Jo Log Raaton Ko Jagte The in PDF.