Sinon Mein Agar Hoti Kuchh Pyar Ki Gunjaish

sinon mein agar hoti kuchh pyar ki gunjaish

hathon mein nikalti kyun talwar ki gunjaish

pichhDe hue ganw ka shayad hai wo bashinda

jo shahr mein DhunDe hai isar ki gunjaish

nafrat ki tassub ki yun rakkhi gain inTen

paida hui zehnon mein diwar ki gunjaish

pakizgi ruhon ki nilam hui jab se

jismon mein nikal aai bazar ki gunjaish

is tarah khule dil se iqrar nahin karte

rakh lijiye thoDi si inkar ki gunjaish

gar azm musammam ho aur jehd-e-musalsal bhi

sahra mein nikal aae gulzar ki gunjaish

samjhen ki na samjhen wo hum ne to 'asad' rakh di

ashaar ke honTon pe izhaar ki gunjaish

(1031) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sinon Mein Agar Hoti Kuchh Pyar Ki Gunjaish In English By Famous Poet Asad Raza. Sinon Mein Agar Hoti Kuchh Pyar Ki Gunjaish is written by Asad Raza. Read famous Poem Sinon Mein Agar Hoti Kuchh Pyar Ki Gunjaish for youth and Student by Asad Raza. Free Download Sinon Mein Agar Hoti Kuchh Pyar Ki Gunjaish in PDF.