AaKHir-e-kar Yahi Uzr Jafa Ka Nikla

aaKHir-e-kar yahi uzr jafa ka nikla

jurm aur jurm bhi ek umr-e-wafa ka nikla

os mein Dub ke jis tarah nikharta hai gulab

sharm se aur siwa husn ada ka nikla

kya kari hai ki jab dar pe tere aa baiTha

aastin se na kabhi hath gada ka nikla

jo dua mangi hai auron hi ki KHatir mangi

hausla aaj mere dast-e-dua ka nikla

shauq-e-manzil hi liye uTh gae jaane wale

aashna ek na aawaz-e-dara ka nikla

jab tu hi tu hai to phir ghaib o huzuri kaisi

ek hi rang baqa aur fana ka nikla

(584) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHir-e-kar Yahi Uzr Jafa Ka Nikla In English By Famous Poet Asar Lakhnavi. AaKHir-e-kar Yahi Uzr Jafa Ka Nikla is written by Asar Lakhnavi. Read famous Poem AaKHir-e-kar Yahi Uzr Jafa Ka Nikla for youth and Student by Asar Lakhnavi. Free Download AaKHir-e-kar Yahi Uzr Jafa Ka Nikla in PDF.