Bahaar Hai Tere Aariz Se Lau Lagae Hue

bahaar hai tere aariz se lau lagae hue

charagh lala-o-gul ke hain jhilmilae hue

tera KHayal bhi teri hi tarah aata hai

hazar chashmak-e-barq-o-sharar chhupae hue

lahu ko pighli hui aag kya banaenge

jo naghme aanch mein dil ki nahin tapae hue

zara chale chalo dam bhar ko din bahut bite

bahaar-e-subh-e-chaman ko dulhan banae hue

qadim se hai yahi rasm-o-rah-e-mulk-e-wafa

ki aazmae gae jo the aazmae hue

DhiTai dekhi thi us se laDate hain aankhen

sitare aankhon ki teri jhapak churae hue

hai ja-e-husn haya aur bhi izafa kar

nazar ke samne aa ja nazar jhukae hue

jo muntazir the kisi ke wo so gae aaKHir

sisakti aarzuon ko gale lagae hue

ab is ke baad gila kis se kijiye kis ka

samajhte the jinhen apna wahi parae hue

hum apne haal-e-pareshan pe muskurae the

zamana ho gaya yun bhi to muskurae hue

hamesha kaif se KHali rahenge wo naghme

jo teri nikhat-e-KHush mein nahin basae hue

'asar' sunati hain ab dil ki dhaDkanen shab ko

fasane us nigah-e-mast ke sunae hue

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahaar Hai Tere Aariz Se Lau Lagae Hue In English By Famous Poet Asar Lakhnavi. Bahaar Hai Tere Aariz Se Lau Lagae Hue is written by Asar Lakhnavi. Read famous Poem Bahaar Hai Tere Aariz Se Lau Lagae Hue for youth and Student by Asar Lakhnavi. Free Download Bahaar Hai Tere Aariz Se Lau Lagae Hue in PDF.