Jhapki Zara Jo Aankh Jawani Guzar Gai
jhapki zara jo aankh jawani guzar gai
badli ki chhanw thi idhar aai udhar gai
mashshata-e-bahaar ajab gul katar gai
munh-band jo kali thi khili aur sanwar gai
pesh-e-jamal-e-yar kiran aaftab ki
sharma ke chahti thi ki palTe bikhar gai
mal ke bhabhut chehre pe taron ki chhanw ka
dhoni ramae dar pe ye kis ke sahar gai
kya jaane aankh mar ke kya kah gai shafaq
phulon ki god mauj-e-nasim aa ke bhar gai
sine mein aur tab de shole ko shauq ke
sajda ghalat agar na tajalli nikhar gai
teri hi jalwa-zar hai duniya-e-rang-o-bu
ai wae wo nazar jo hijabaat par gai
ab hath malte hain ki dam-e-arz-e-majra
kahne ki baat dhyan se kaisi utar gai
kuchh din ki aur kashmakash-e-zist hai 'asar'
achchhi buri guzarni thi jaisi guzar gai
(1271) Peoples Rate This