Na Sharh-e-shauq Na Taskin Jaan-e-zar Mein Hai

na sharh-e-shauq na taskin jaan-e-zar mein hai

maza jo apni mohabbat ke e'tibar mein hai

abhi se hosh na kho baiTh ai nasim-e-chaman

abhi to ek shikan zulf-e-tabdar mein hai

KHud apne ishq ki ranginiyon mein gum ho ja

nahin kuchh aur agar ye to iKHtiyar mein hai

ye mahwiyat koi dekhe ki misl-e-aina

junun-e-KHud-nigari apne intizar mein hai

na hai nasib mili aur ba-qadr-e-zarf mili

supurdagi ki jo ek shan iKHtiyar mein hai

harif-e-bazm-e-tamasha teri nigah nahin

wagarna husn to KHud tere intizar mein hai

'asar' mujhe hai wahan ruKHsat-e-nawa-sanji

ki naghma ek lab-e-KHamosh jab dayar mein hai

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Sharh-e-shauq Na Taskin Jaan-e-zar Mein Hai In English By Famous Poet Asar Lakhnavi. Na Sharh-e-shauq Na Taskin Jaan-e-zar Mein Hai is written by Asar Lakhnavi. Read famous Poem Na Sharh-e-shauq Na Taskin Jaan-e-zar Mein Hai for youth and Student by Asar Lakhnavi. Free Download Na Sharh-e-shauq Na Taskin Jaan-e-zar Mein Hai in PDF.