Jaane Lage Hain Ab Dam-e-sard Aasman Talak

jaane lage hain ab dam-e-sard aasman talak

ThanDi saDak bani hai yahan se wahan talak

jalte hain gham se jaan-o-dil-o-sina-o-jigar

chaaron taraf hai aag bujhaun kahan talak

bimar ho gaya hun main qaht-e-sharab se

lillah le chalo mujhe pir-e-mughan talak

masjid se dur hai ye dukan mai-farosh ki

aati nahin hai kan mein bang-e-azan talak

nikla jo dam to rahat-o-aram hai 'asir'

aawargi hai jism ki ruh-e-rawan talak

(594) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Lage Hain Ab Dam-e-sard Aasman Talak In English By Famous Poet Aseer Lakhnawi. Jaane Lage Hain Ab Dam-e-sard Aasman Talak is written by Aseer Lakhnawi. Read famous Poem Jaane Lage Hain Ab Dam-e-sard Aasman Talak for youth and Student by Aseer Lakhnawi. Free Download Jaane Lage Hain Ab Dam-e-sard Aasman Talak in PDF.