Sim-tan Gul-ruKHon Ki Basti Hai

sim-tan gul-ruKHon ki basti hai

ye badalti ruton ki basti hai

kaun samjhe sukut ki baaten

shahar KHamoshiyon ki basti hai

ye lakiren ghamon ke raste hain

ye hatheli dukhon ki basti hai

zindagi tak zakat Thahra di

ye mere raaziqon ki basti hai

aasman ki tarah hai sath koi

hijr bhi qurbaton ki basti hai

wo talatum-shiar kya jaane

jhil bhi paniyon ki basti hai

aql tafriq ka tamasha hai

aagahi faslon ki basti hai

jism paband-e-gul sahi 'abid'

dil magar wahshaton ki basti hai

(639) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sim-tan Gul-ruKHon Ki Basti Hai In English By Famous Poet Asghar Abid. Sim-tan Gul-ruKHon Ki Basti Hai is written by Asghar Abid. Read famous Poem Sim-tan Gul-ruKHon Ki Basti Hai for youth and Student by Asghar Abid. Free Download Sim-tan Gul-ruKHon Ki Basti Hai in PDF.