Jo Naqsh Hai Hasti Ka Dhoka Nazar Aata Hai

jo naqsh hai hasti ka dhoka nazar aata hai

parde pe musawwir hi tanha nazar aata hai

nairang-e-tamasha wo jalwa nazar aata hai

aankhon se agar dekho parda nazar aata hai

lau sham-e-haqiqat ki apni hi jagah par hai

fanus ki gardish se kya kya nazar aata hai

ai parda-nashin zid hai kya chashm-e-tamanna ko

tu daftar-e-gul mein bhi ruswa nazar aata hai

nazzara bhi ab gum hai be-KHud hai tamashai

ab kaun kahe is ko jalwa nazar aata hai

jo kuchh thi yahan raunaq sab baad-e-chaman se thi

ab kunj-e-qafas mujh ko suna nazar aata hai

ehsas mein paida hai phir rang-e-gulistani

phir dagh koi dil mein taza nazar aata hai

thi fard-e-amal 'asghar' kya dast-e-mashiyyat mein

ek ek waraq is ka sada nazar aata hai

(1592) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Naqsh Hai Hasti Ka Dhoka Nazar Aata Hai In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Jo Naqsh Hai Hasti Ka Dhoka Nazar Aata Hai is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Jo Naqsh Hai Hasti Ka Dhoka Nazar Aata Hai for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Jo Naqsh Hai Hasti Ka Dhoka Nazar Aata Hai in PDF.