KHuda Jaane Kahan Hai Asghar-e-diwana Barson Se

KHuda jaane kahan hai 'asghar'-e-diwana barson se

ki us ko DhunDhte hain kaba o but-KHana barson se

taDapna hai na jalna hai na jal kar KHak hona hai

ye kyun soi hui hai fitrat-e-parwana barson se

koi aisa nahin ya rab ki jo is dard ko samjhe

nahin malum kyun KHamosh hai diwana barson se

kabhi soz-e-tajalli se use nisbat na thi goya

paDi hai is tarah KHakistar-e-parwana barson se

tere qurban saqi ab wo mauj-e-zindagi kaisi

nahin dekhi ada-e-laghzish-e-mastana barson se

meri rindi ajab rindi meri masti ajab masti

ki sab TuTe paDe hain shisha o paimana barson se

hasinon par na rang aaya na phulon mein bahaar aai

nahin aaya jo lab par naghma-e-mastana barson se

khuli aankhon se hun husn-e-haqiqat dekhne wala

hui lekin na taufiq-e-dar-e-but-KHana barson se

libas-e-zohad par phir kash nazr-e-atish-e-sahba

kahan khoi hui hai jurat-e-rindana barson se

jise lena ho aa kar us se ab dars-e-junun le le

suna hai hosh mein hai 'asghar'-e-diwana barson se

(1139) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda Jaane Kahan Hai Asghar-e-diwana Barson Se In English By Famous Poet Asghar Gondvi. KHuda Jaane Kahan Hai Asghar-e-diwana Barson Se is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem KHuda Jaane Kahan Hai Asghar-e-diwana Barson Se for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download KHuda Jaane Kahan Hai Asghar-e-diwana Barson Se in PDF.