Zauq-e-sarmasti Ko Mahw-e-ru-e-jaanan Kar Diya

zauq-e-sarmasti ko mahw-e-ru-e-jaanan kar diya

kufr ko is tarah chamkaya ki iman kar diya

tu ne ye ejaz kya ai soz-e-pinhan kar diya

is tarah phunka ki aaKHir jism ko jaan kar diya

jis pe meri justuju ne Dal rakkhe the hijab

be-KHudi ne ab use mahsus o uryan kar diya

kuchh na hum se ho saka is iztirab-e-shauq mein

un ke daman ko magar apna gareban kar diya

go nahin rahta kabhi parde mein raaz-e-ashiqi

tum ne chhup kar aur bhi us ko numayan kar diya

rakh diye dair o haram sar marne ke waste

bandagi ko be-niyaz-e-kufr-o-iman kar diya

aariz-e-nazuk pe un ke rang sa kuchh aa gaya

in gulon ko chheD kar hum ne gulistan kar diya

in buton ki surat-e-zeba ko 'asghar' kya kahun

par KHuda ne wae nakaami musalman kar diya

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zauq-e-sarmasti Ko Mahw-e-ru-e-jaanan Kar Diya In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Zauq-e-sarmasti Ko Mahw-e-ru-e-jaanan Kar Diya is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Zauq-e-sarmasti Ko Mahw-e-ru-e-jaanan Kar Diya for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Zauq-e-sarmasti Ko Mahw-e-ru-e-jaanan Kar Diya in PDF.