Aankhon Ki Nadi Sukh Gai Phir Bhi Hara Hai

aankhon ki nadi sukh gai phir bhi hara hai

wo dard ka pauda jo mere dil mein uga hai

jaan de ke bhi chahun to use pa na sakun main

wo chand ka TukDa jo dariche mein jaDa hai

sailab hain chehron ke to aawaz ke dariya

ye shahr-e-tamanna to nahin dasht-e-sada hai

'asghar' ye safar shauq ka ab kaise kaTega

jo hum ne tarasha tha wo but TuT gaya hai

(720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Ki Nadi Sukh Gai Phir Bhi Hara Hai In English By Famous Poet Asghar Gorakhpuri. Aankhon Ki Nadi Sukh Gai Phir Bhi Hara Hai is written by Asghar Gorakhpuri. Read famous Poem Aankhon Ki Nadi Sukh Gai Phir Bhi Hara Hai for youth and Student by Asghar Gorakhpuri. Free Download Aankhon Ki Nadi Sukh Gai Phir Bhi Hara Hai in PDF.